07/07/2025
Dil Chhota Mat Karo Wo Bulain Ge Karbala
Mola Hussain Sab Ko Dikhayen Ge Karbala
Sun Kar Areeza Ghazi Ne Paigham Hai Diya
Mola Hussain Sab Ko Dikhayen Ge Karbala
Fehrist Mujh Se Mang Rahe The Mere Imam
Likhwa Diye Hain Mola Ko Tum Sab Ke Maine Naam
Baqi Hai Bas Batool Ki Beti Ka Faisla
Ankhen Tumhari Sach Hai Ke Puraab Hain Bohat
Wo Khud Bhi Tumse Milne Ko Betaab Hain Bohat
Ek Bar Daikho Dil Se To De Kar Unhen Sada
Ghafil Nahi Kisi Se Bhi Ibn e Abu Turab
Misl e Mujaab Aaye Ga Har Aik Ka Jawab
Labaik Ya Hussain Ki Dete Raho Sada
Jo Reh Gaya Watan Main Usse Kehna Gham Na Kar
Khud Pursa Lene Aayen Ge Shabeer Tere Ghar
Bas Shah Se Ziyarat e Ashoor Mangna
Kehna Tum Uss Se Jis Ne Wasail Ka Tha Kaha
Tera To Rizq Shah Ne Kab Ka Badha Diya
Le Aaye Apne Bachon Ko Iss Saal Karbala
Farzand e Fatima Ki Badi Bargah Hai
Akbar Ke Baba Jan Ki Sab Par Nigah Hai
Kab Hain Waha Pe Farq Ameer o Gareeb Ka
Karbobala Jo La Na Saqa Walidain Ko
Wo Janta Nahi Abhi Aaqa Hussain Ko
Roze Pe Unke Aaye Bina Mar Gaye To Kia
Jo Matmi Jawan Hain Akbar Ke Pursa Daar
Unn Ka Khaas Rehta Hai Mola Ko Intezar
Mango Jawano Wasta De Kar Jawan Ka
Paison Se Kon Kehte Hai Jate Hain Karbala
Aata Hai Bas Wo Jisko Bulate Hain Karbala
Jis Jis Ne Bhi Yaqeen Hai Iss Baat Par Rakha
Nazdeek Jab Hussain Ki Turbat Ke Jao Ge
Niyat Karo Sakina Ki Ghurbat Sonao Ge
Sunne Ko Apni Ladli Beti Ka Marsiya
Kaise Bayan Ho Sughra Ki Halat Ajeeb Thi
Bimaar Apne Amoo Se Aakar Lipat Gai
Sughra Se Ye Tasali Main Abbas Ne Kaha
Abbas Iss Ki Baat Ka Rakh Laina Tum Bharam
Tere Bharose Chalta Hai Sajjad Ka Klam
Iss Ne To De Diya Hai Zamane Ko Aasra