07/07/2025
Alamdar Alamdar
Saqa-E-Haram Syed O Salar Na Aamad
Woh Sher-E-Bahadur Woh Jigar Daar Na Aamad
Alamdar Na Amad, Alamdar Na Ama
Kaash Abbas Ko Larnay Ki Ijaazat Hoti
Kya Hai Nau Laakh Yahaan Aik Bhi Bach'ta Na Koi
Aik Lamhe Mein Bichha Deta Woh Laashe Sab Ki
Keh'ti Rahi Abbas Ki Talwaar Na Aamad
Alamdar Na Amad, Alamdar Na Amad
Ho Bahu Jafar-E-Tayyar Thi Qamat Us Ki
Jang Larnay Ki Adaa'en Thin Qayamat Us Ki
Hukm-E-Shabbir Azaan Aur Aqamat Us Ki
Shagird-E-Hasan Aahani Deewar Na Aamad
Alamdar Na Amad, Alamdar Na Amad
Us Ke Chehray Pe Jalaal Aur Hashm Tha Kaisa
Raab Tha Jis Ki Nigaahon Mein Ali Ke Jaisa
Koi Shabbir Ke Lashkar Mein Nahin Tha Aisa
Yeh Kis Ki Nazar Kha Gayi Jarraar Na Aamad
Alamdar Na Amad, Alamdar Na Amad
Jis Ki Umeed Pe Pardo Ki Zamaanat Li Thi
Jab Yeh Zainab Ne Kaha Maara Gaya Woh Ghazi
Khud-Ba-Khud Sar Se Sarkne Lagi Chaadar Sab Ki
Ae Bibiyon Chaadar Ka Nigahdaar Na Aamad
Alamdar Na Amad, Alamdar Na Amad
Goonji Khaimon Mein Yeh Awaaz Dil-E-Zahra Ki
Ae Bahan Mar Gaya Battis Baras Ka Bhai
Yaad Baba Ki Jab Aayegi Kise Dekhogi
Darya Se Rukh-E-Haider-E-Karrar Na Aamad
Alamdar Na Amad, Alamdar Na Amad
Raah Mein Gir Ke Kuchal Jaaye Ga Naaqe Se Koi
Taaziyane Koi Khaaye Ga Tmaanche Koi
Ab Nahin Aayega Daron Se Bachaane Koi
Jo Karta Tha Bachon Se Bohat Pyaar Na Aamad
Abbas Alamdar Abbas Alamdar
Saamne Paani Tha Lekin Na Piya Us Ko Khayaal Aata Raha
Ke Abhi Khaimon Mein Sab Bachay Hain Pyaase
Paani Jab Le Ke Chala Teer Chale Mashk Chhidi Gir Gaya Parcham
Bina Haath Gira Khaak Pe Jis Dam
Woh Pyaasa Woh Pyaason Ka Wafadaar Na Aamad
Alamdar Na Amad, Alamdar Na Amad
Jab Bhi Bulwaya Hai Ghazi Ne Karam Farma Kar
Dekha Zeeshan Ne Darwaish Yeh Manzar Ja Kar
Roz-E-Ashoora Talak Roz-E-Haram Mein Ja Kar
Sar Peet Ke Kehte Hain Azaadaar Na Aamad