07/07/2025
Kitna Mazloom Hai Shabbir Suno Ahl e Aza
Teera Zarbon Se Gala Shimr Ne Jab Kaat Diya
Be Kafan Lash Ke Nazdeek Ibn E Saad Aaya
Chor Zakhamo Se Badan Dekh Ke Bhi Dil Na Bhara
Hukm Pamali Ka Zalim Ne Diya Ye Kah Ke
Pasliyan Totten To Aawaz Sunai De Mujhe
Zehra Ka Laal Hussain
Hota Hai Pamaal Hussain
Sab Se Wazni Hai Jo Rahwar Unhain Bulwao
Or Kuchalne Main Jo Mahir Hain Woh Ghode Lao
Meekh Paivast Karo Unke Sumo Ke Neeche
Naal Bandi Karo Phir Run Main Unhainn Le Aao
Lash e Sarwar Pe Se Ghodon Ko Guzaro Aaise
Pasliyan Totten To Aawaz Sunai De Mujhe
Zulm Itna Karo Shabbir Ke Iss Lashe Par
Pasliyan Toot Ke Ho Jaien Idher Or Udhar
Jaise No Lakh Ne Maqtal Main Isse Mara Tha
Aik Baar Or Isse Ghair Kar Maro Milkar
Tohfa Hakim Se Main Dilwaoga Lekin Pehle
Pasliyan Totten To Aawaz Sunai De Mujhe
Chahta Hon Ke Isse Dhoodne Jab Aaye Behan
Wo Bhi Mar Jaye Yahan Dekh Ke Ye Kuchla Badan
Khoon Hi Khoon Nazar Aaye Usse Bhai Ka
Dena Chahe Bhi To Na De Sake Wo Usko Kafan
Uss Ne Phir Paon Rakha Seene Pe Ye Kehte Hue
Pasliyan Totten To Aawaz Sunai De Mujhe
Aag Khaimon Ko Lagani Hai To Aage Aao
Jo Madine Main Hua Zulm Wohi Dohrao
Wahan Darwaze Pe Chalte The Madine Wale
Tum Yahan Lash Pe Se Ghode Guzare Jao
Itni Taqleef Do Maa Yad Isse Aane Lage
Pasliyan Totten To Aawaz Sunai De Mujhe
Shimr Ne Katta Gala Seene Pe Chad Kar Uske
Khainchi Sanan Ne Gardan Ki Ragain Naize Se
Kati Bajdal Ne Angothi Ke Liye Ungli Bhi
Khuli Sar Le Gaya Tandoor Main Rakhne Ke Liye
Reh Gaye The Jo Unhain Bheja Gaya Ye Kehke
Pasliyan Totten To Aawaz Sunai De Mujhe
Kaise Zeeshan Likhe Kis Tarhan Farhan Padhe
Sare Ghode Badan e Shah Ki Janib Dode
Pasliyan Toot Gain Maa Ki Tarhan Bete Ki
Be Kafan Lash Pe Rahwaron Ne Jab Sum Patkhe
Pisar e Sad Yehi Kehta Raha Hans Hans Ke
Pasliyan Totten To Aawaz Sunai De Mujhe